tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye tha
abhi kuchh aur mera dil dukhana chahiye tha
taveel raat ke pehloo mein kab se soye hai
naveed-e-subah tujhe jag jaana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hai jo jale hi nahi
savaad-e-waqt inhe jagmagaana chahiye tha
ajab na tha ke qafas saath le ke udd jaate
tadapna chahiye tha phadphadana chahiye tha
yeh meri haar ke karya-e-jaan se haara magar
bichhadne wale tujhe yaad aana chahiye tha
tamaam umr ki aasudgi-e-visal ke baad
aakhri dhoka tha khana chahiye tha
No comments:
Post a Comment