Search

Tuesday, 12 July 2011

Toot kar chaha tha jise wohi dhoka de jayega


Toot kar chaha tha jise wohi dhoka de jayega
Bina kashti ke musafir kaise sahil tak aayega
Sukhe patton ki tarah yun bikhar jayegi zindagi apni
Socha na tha yeh waqt hume is mod par bhi layega
Maine chand ki tamana mein, ginwa diye taare bhi
is oonchi udan mein kahan maloom tha ke kafila hi chhut jayega
apni hi lagai aag mein apna hi wajood jal jayega
kis ko khabar thi yeh waqt bhi hum par ayega
jub registan ki ret hi apna mukadar thi to
kyon socha humne ki hamein woh mil jayega
apne hi banaye jaal mein shikari khud hi qaid ho jayega
koi yon bhi bhala apna mukadar likhwayega
zindagi tapti dhoop ke tale yun hi chali ja rahi hai
kya ab koi pani pilane wala nahi ayega

No comments:

Post a Comment