Mahobatt Ke Naam Pe Dil Par Gehri Chot Khayi Hai
Marham Ke Intezaar Mein Ghav Pe Runjh Bhi Bhar Aayi Hai
Kasme-Wadon Ka Koi Mol Nahi Iss Jahan Mein Aaj Samaj Mein Aaya
Jinse Ummeed Ki Thi Wafa Ki Unse Hi Aaj Humne Be-Wafai Paayi Hai
Kar To Main Bhi Sakta Hun Apna Ghum-E-Bayaan Unse
Par Main Wadon Ka Pakka, Sada Chehre Pe Muskurahat Hi Aayi Hai
Bhulane Ab Unko Main Bhi Chala Hun Mehkhane Ki Taraf
Peeta To Nahi Main Par Fir Bhi Aankhein Shabab Se Bhar Aayi Hai
Be-Rukhsat Unki Chaahat Se Kuchh Iss Kadar Ho Gaya Hun Main
Jaise Mere Sharir Se Juda Hokar Bahar Meri Rooh Nikal Aayi Hai
Socha Tha Ek Tu Hi To Mera Sahara Thi Jeene Ka
Aur Tune Hi Aaj Humari Mohabat Ki Chita Jalayi hai
No comments:
Post a Comment