Tere Naam ki thi jo Roshni use khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop, use chandni ne jala diya
Main hun gardisho ka maara huwa, mujhe ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo mainganwaa diya
Jissko samjha tha tuney raqeeb, woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha, tuney haath sey hi mita diya
Mujhe ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha, ise aandhiyo ne mita diya
Yeh udasiyo ka jamal hai ke umara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bharko suna diya
Mere umar ka gulistan abhi khula huwa hai zaroor par
Woh jo phool the teri chah ke unko mosamon ne gira diya
No comments:
Post a Comment