Search

Tuesday, 12 July 2011

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka


har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Shaam e Gham Ki Qasam


Shaam e Gham Ki Qasam

Shaam e Gham Ki Qasam


Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum

Shaam e Gham Kii Qasam

Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam

Shaam e Gham Ki Qasam

Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam
Shaam e Gham Ki Qasam

Har ek lamha naya ik imtehan hai


Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,

Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,

Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,

Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai...

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia


usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Kahun K Kia Ho Tum


Kahun K Kia Ho Tum....?

Kahun K Kia Ho Tum....?



Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,

Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,

Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,

Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,

Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,

Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum.

HUM TO BICHRAY THAY TUMHEIN APNI YAD DILANE KAI LIYE


HUM TO BICHRAY THAY TUMHEIN APNI YAD DILANE KAI LIYE
MAGAR TUM NE TO HAMARE BINA JENA HI SEKH LIYA

Jis Pair Ki Chaoun B Lage Dhoop Ki Manind


Jis Pair Ki Chaoun B Lage Dhoop Ki Manind
Us Pair Per Panchi B Basera Nahi Kartay
Aankhon Se Na Parh Le Koi Dil Ki Udasi
Es Dar Se To Wo Zikar B Mera Nahi Kartay

raat ki khamoshi mein kuchh gunguna lete hai


raat ki khamoshi mein kuchh gunguna lete hai
dard ko lafzon me dhaal kar har nagma bana lete hai
ashq toh aakhon se yunhi nahi behte hai
hawa ke anchal se unko dil mein utar lete hai
tanhaai ki roshni hai itni mash-hoor
ke hum saare diye bhuja lete hai
ban baithe the unke pyaar mein itne deewane
ke ab baat be-baat muskura lete hai
poochhta hai jab koi wajah iss dard ki
toh reit mein tera naam likh likh ke mita lete hai
ki jisne bewafai woh toh ho chuke kisi aur ke
aur bewafai ka ilzaam hum par laga lete hai.

Kyun Rooth gayi Kismat mujhse


Kyun Rooth gayi Kismat mujhse
Kyun Khafa ho gaye saathi humse
Kaash mil jate raah chalte kisi din
Aur dekh lete ek nazar pyar se hume
Phir Gam naa hota marne ka bhi hume
Bhool jate tumhari di hui woh sari taklife

USNE KAHA TUM MEIN PEHLI SI BAAT NAHI


USNE KAHA TUM MEIN PEHLI SI BAAT NAHI
MAINE KAHA!
ZINDAGI MEIN TERA SATH NAHI
USNE KAHA
AB BHI KISI KI ANKHON MAIN DOOB JATEY HO??
MAINE KAHA
AB KISI ANKH MEIN WOH GEHRAYEE NAHI!
USNE KAHA
KYUN ITNA TOOT KAR CHAHA MUJHE
MAIN NAY KAHA
INSAAN HUN PATHER TO NAHI
USNE KAHA
KYA MAIN BEWAFA HOUN?
MAINE KAHA
MUJHE AB WAFA KI TALASH HI NAHI
USNE KAHA
BHOOL JA MUJH KO
MAINE KAHA
TUM HAQEQAT HO KOI KHAWAB TO NAHI

phir dil mein ek nayi aag jala di usne


phir dil mein ek nayi aag jala di usne
dehakte zakhmon ko khoob hawa di usne
mohabbat mein woh bhi hamari pagal hain
har taraf yeh jhooti afwaah udaa di usne
jhoothe khwaabon ki kahani bana di usne
deta raha woh fareb mohabbat ke naam par
peete rahe hum zehar wafaaon ke jaam bhar
khilti rahi muskurahat uske labon par har baar
wafa se chehre pe bewafai saja di usne
mohabbat ki aankh sharm se jhuka di usne
dil se nikli ek aah jo zuban tak aayi nahi
nabz hi khud jab dhadkan ko soon payi nahi
tohmaton ke takiye ko saja diya hothon par
begunaah laash chattanon mein daba di usne
mohabbat ki yeh akhiri rasm bhi nibha di usne.

Kyun Chuna Tha Hame, Agar Dil hi Todna tha hamara


Kyun Chuna Tha Hame, Agar Dil hi Todna tha hamara,
Kyun Vaada Kiya Tha humse, agar Nibhana hi Naa tha Saath Hamara,
Kyun Majhdhar Me Chhod Diya hume Naiya Me bithakar,
Kyun Dhoka Diya hume, Pyar Ke Jhoothe Sapne dikhakar.

Har Dali Par Phool Khilein Shaayad Mumkin Na ho


Har Dali Par Phool Khilein Shaayad Mumkin Na ho,
Har Manzil par Saath chalein Shaayad mumkin na ho,
Aaj to bhula do sabhi Gile-Shikve,
Kal mile na mile Shaayad mumkin na ho,
Aaj Bhi Unki Nazro Mein Raaz Wahi Tha,
Chehra Wahi Tha Chehre ka Libaas Wahi Tha,
Kaise Usko Bewafa Keh Du Yarro,
Aaj Bhi Uske Dekhne Ka Andaaz Wahi Tha,
Lamha Lamha saanse khatam ho rahi hai,
zindagi bhi maut ke pehlu mein so rahi hai,
us Bewafa se na poocho meri maut ki wajah,
woh toh bus zamaane ko dikhane ke liye ro rahi hai !

Apni aankho ke samundar mein utar jaane de


Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
Aye mere dost main samjunga tujhe bhi apna
Pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de
Aag duniya ki lagayee hui bujh jayegi
Koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de
Zakhm kitne teri chahat se mile hain mujhko
Sochta hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de

Khawab rehte the jo palko pe moti bankar ankhon se jhad gaye


Khawab rehte the jo palko pe moti bankar ankhon se jhad gaye.
Daav par hoti hai dil o jaan yahan ulfat k yeh saude mehnge pad gaye.
Dhundle raaste manzil bhi anjaani si.rukte kadam fir aage badte gaye
na jeet huee na hari baazi humne kabhi khudse kabhi kismat se lad gaye

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay


Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
Ke ashq rokna tum se mohaal hona hay
Har ek lab pe hay meri wafa ke afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawab hona hay
Tumhain khabar hi nahin tum to loot jaogi
Tumharay hijar main ek lamha saal hona hay
Humari rooh pey jaab bhi azaab utrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
Kabhi to royegi woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
Milaygi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay
Har ek shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis ke kham-o-peech main ulajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay
Yaqeen hay mujhe woh loot ayegi
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay.

koba koba phail gai baat shanasai ke


koba koba phail gai baat shanasai ki....
us ne khoshboo ki tarah meri pzeerai ki....
kasie keh don k mujhy chod deya hai us ne....
baat to such hai baat hai ruswai ki.....
tere pehloo me tera dil abaad rahe....
tujh pe guzre na qiyamat shub-e-tunhai ki...

dost kya khoob wafaon ka sila dete hai


dost kya khoob wafaon ka sila dete hai
har naye mod pe ek dard naya dete hai
tum se to khair ghadi bhar ka talluq raha
log sadiyon ki rafaqat bhula dete hai
kaise mumkin hai dhooan bhi na ho aur dil bhi jale
chot padti hai to patthar bhi sada dete hai
kaun hota hai museebat mein kisi ka aye dost
aag lagti hai to patte bhi hawa hi dete hai
jin pe hota hai dil ko bharossa
waqt padne pe wahi log dhoka bhi dete hai

PAL AISA THA KI HUM INKAR NA KAR PAAYE


PAL AISA THA KI HUM INKAR NA KAR PAAYE
ZAMANE K DAR SE IKRAAR NA KAR PAAYE
NA THI JINKE BINA ZINDAGI MUNASIB
CHHOD DIYA UNHONE AUR HUM SAWAL NA KAR PAAYE

Dil ki tadap ko kya jaan saka hai koi


Dil ki tadap ko kya jaan saka hai koi,
Meri kasak ko kya pehchaan saka koi,
Tumne to bas kehe diya bhool jaane ko,
Pehle pyar ko kab bhula saka hai koi.
Isi pyar ne to kitnon ko ghayal kiya,
Isi ishq ne mujhe bhi pagal kiya,
Tere ishq mein padkar loot gaye hum to,
Is ishq se kya bach paya hai koi.
Halaat ka mara yeh ishq,kabhi parwaan na chadh paya,
Dil mein baskar tumne is dil ko bahut tadpaya,
Dee do pal ki khushi, har pal ka gum,
Tumne is dil ko dhadakna kyon sikhaya.

Or Koi Gam Nahi Ek Teri Judai Ke Siva


Or Koi Gam Nahi Ek Teri Judai Ke Siva
Mere Hisse Me Kya Aaya Tanhai Ke Siva
Yu To Milan Ki Raate Mili Beshumar
Pyar Me Sab Kuchh Mila Shehnai Ke Siva

aankhon mein basne wale aansu bankar nikal gaye


aankhon mein basne wale aansu bankar nikal gaye
dil mein rehne wale dil jalakar nikal gaye
jis raahon per mera kabhi intzaar karte the
aaj usi raah mein chehra chhupakar nikal gaye
jinse mehakti thi kabhi mere khwabon ki galiyan
wohi mere sapnon ko aag lagakar nikal gaye
jis pyar ki khushboo basi thi mere aagan mein
woh bewafa phoolon ko murjhakar nikal gaye
kis tarah ab guzregi yeh jeevan ki sawari
jab mujhe maut ki galiyan dikha kar nikal gaye
jab bayan ki apne jeevan ki kahani
toh log wah !! wah !! suna kar nikal gaye.

Toot kar chaha tha jise wohi dhoka de jayega


Toot kar chaha tha jise wohi dhoka de jayega
Bina kashti ke musafir kaise sahil tak aayega
Sukhe patton ki tarah yun bikhar jayegi zindagi apni
Socha na tha yeh waqt hume is mod par bhi layega
Maine chand ki tamana mein, ginwa diye taare bhi
is oonchi udan mein kahan maloom tha ke kafila hi chhut jayega
apni hi lagai aag mein apna hi wajood jal jayega
kis ko khabar thi yeh waqt bhi hum par ayega
jub registan ki ret hi apna mukadar thi to
kyon socha humne ki hamein woh mil jayega
apne hi banaye jaal mein shikari khud hi qaid ho jayega
koi yon bhi bhala apna mukadar likhwayega
zindagi tapti dhoop ke tale yun hi chali ja rahi hai
kya ab koi pani pilane wala nahi ayega

ab k tajdeed-e-wafa ka nai imkaan jana


ab k tajdeed-e-wafa ka nai imkaan jana....
yaad keya tujh ko delaien tera pemaan jana....
yon hi mosom ki ada dekh k yaad aya hai....
kis qdr juld bdl jate hain insaan jana....
dil ye kehta hai k shayed ho afsurda tu b ....
dil ki keya baat karen dil to hai nadan jana....
hum b saada thy hum ne b sumjh rukha tha....
ghum-e-doran se juda hai ghum-e-jana jana....

ek bewafa ko humne iss dil mein jagah di thi


ek bewafa ko humne iss dil mein jagah di thi
khwaabon ki duniya apni uss se hi saja di thi
chaha tha usko humne khud se bhi bahut badh kar
uss chahat mein humne yeh hasti hi mita di thi
malum nahi tha humko woh bewafa bhi hoga
uss par bharosa kar ke khud ko hi saza di thi
socha tha saath milke kaatenge zindagi ko
usne tou ek pal mein har baat bhula di thi
kaise sitam hai dekho woh kab se juda hai
apni zindagi jiska saya sa bana di thi
kiya tha uss par bharosa kyun hadd se badh kar
uski jafa ne dil mein ek halchal si macha di thi.

kuch mil gaya is jahan mein


kuch mil gaya is jahan mein
kuch kho gaya is jahan mein
apne huye paraye yun
ke chhod gaye humay is jahan mein
tumse thi na hume umeed ye
ke tum bhi shamil ho jaaoge us jahan mein
itni chahat, pyaar, mohabbat huyi hume
ke sochte rahe tumhe is jahan mein
wafa karne ka sila ye mila
ke pa rahe hain saza is jahan mein
kyon bhool jate ho tum ke
hum bhi majod hain is jahan mein
har pal, har lamha aati rahe yaad meri
ke bhool paoge na tum hume is jahan mein
ro ro kar kati raatein jo
tujh ko bhi neend na mile is jahan mein
ankhon mein aaye ansoo jo
to nam ho jaye ankhein teri is jahan mein.

hum gunahgaar hai


hum gunahgaar hai
hum ko saza de do
mout aa jaye hume
bus itni si dua de do
mere yaar mujh ko khushi se saza da gaya
hath tham kar mera kisi or ka saath de gaya
hum ne wafa ka tum se itna sila paya hai
dil chhalni huya hai or rona ab aaya hai
hum ko mohaabat par aitbaar na raha
tere baad kisi se pyaar na raha

DIL KA DARD KYA HOTA HAI


DIL KA DARD KYA HOTA HAI
ISE BATLANA BADA MUSKIL HAI
YEH EHSAAS KARNE KI CHEEZ HAI
ISE DIKHLANA BADA MUSHKIL HAI

Dil ne jab bhi fareb khaaya hai


Dil ne jab bhi fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai
Yeh bhi khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein joh khoya paaya hai
Tum numaaish liye ho daagon kii
Humne zakhmon ko bhi chuppaayaa hai
Koi marta nahin kisi ke liye
Humne duniya ko aazmaayaa hai
Waqt-E-Hizraan ya vasl ho Ashique
Humne dono mein tujhko paaya hai

koi fryaad tere dil me dbi ho jaise


koi fryaad tere dil me dbi ho jaise ....
tu ne ankhon se koi baat kahi ho jaise...
jaagte jaagte ik umer kutti ho jaise....
jaan baqi hai mugr sans ruki ho jaise...
hr mulaqat pe mehsoos yahi hota hai.....
mujh se kuch teri nazer pouch rahi ho jaise....
raah chulte hue aksr ye guman hota hai ....
wo nazer chup k mujhy dekh rahi ho jaise....
ik lumhey me simt aya hai sadiyon ka safar....
zindgi bohat tez chali ho jaise....
is tarah pehron tujhy sochta rehta hon ....
meri hr sans tere naam likhi ho jasie.....

Monday, 11 July 2011

dil ki hasraton ko humne dil mein daba ke rakha


dil ki hasraton ko humne dil mein daba ke rakha
jo mile gair bankar humse unhe bhi apna ke rakha
shayad likhi thi kismat mein apni bewafai
jo diye zakhm us bewafa ne humne seene se laga ke rakha
humari mohabbat ke chaman ko unhone sanwara nahi
unke diye hue sookhe gulab ko humne saja ke rakha

In lehron pe chalna sikhaya hai tumne


In lehron pe chalna sikhaya hai tumne
Pyaar mein apno pe jalna sikhaya hai tumne
Hum toh daaman bacha lete magar
Duniya walo ke saamne mujhe
Ruswa karaya hai tumne
Pyaar karna nahi aata tha mujhe
Pyaar kerna sikhaya hai tumne
Bhool na paaunga saari zindagi ab jise
Aisa gum tohfe mein diya hai tumne
Bada mashhoor tha hansne hasaane ko
Hothon se tabassum churaya hai tumne
Tujh ko kaise DUA doon ke khush tu rahe
Meri duaon ko baddua banaya hai tumne
Main toh roshan bhi na ho saka tha abhi
Chadhte suraj ko kaise dubaya hai tumne

tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye tha


tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye tha
abhi kuchh aur mera dil dukhana chahiye tha
taveel raat ke pehloo mein kab se soye hai
naveed-e-subah tujhe jag jaana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hai jo jale hi nahi
savaad-e-waqt inhe jagmagaana chahiye tha
ajab na tha ke qafas saath le ke udd jaate
tadapna chahiye tha phadphadana chahiye tha
yeh meri haar ke karya-e-jaan se haara magar
bichhadne wale tujhe yaad aana chahiye tha
tamaam umr ki aasudgi-e-visal ke baad
aakhri dhoka tha khana chahiye tha

dard badh kar bayaan na ho jaye


dard badh kar bayaan na ho jaye
yeh zameen aasmaan na ho jaye
dil mein dooba hua jo nashtar hai
mere dil ki zuban na ho jaye
dil ko lene dijiye jo lena hai
phir yeh sauda giraan na ho jaye
aah kijiye magar lateed tareen
lab tak aa kar duwa na ho jaye

kohraa sa dhuan sa lagtaa hai


kohraa sa dhuan sa lagtaa hai
be-asar, be-mazaa sa lagtaa hai
dost gar ho be-muravvat to
lafz-e-dosti sazaa sa lagta hai

Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo’n mai


Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo’n mai,
phir kabhi na simtunga you’n bikhar gaya hoo’n mai…

Maut bas nahee’n aati rooh k nikalne se,
sans mujh mai baqi hai phir bhi marr gaya hoo’n mai…

Tere Naam ki thi jo Roshni use khud tu ne bujha diya


Tere Naam ki thi jo Roshni use khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop, use chandni ne jala diya
Main hun gardisho ka maara huwa, mujhe ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo mainganwaa diya
Jissko samjha tha tuney raqeeb, woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha, tuney haath sey hi mita diya
Mujhe ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha, ise aandhiyo ne mita diya
Yeh udasiyo ka jamal hai ke umara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bharko suna diya
Mere umar ka gulistan abhi khula huwa hai zaroor par
Woh jo phool the teri chah ke unko mosamon ne gira diya

Sunday, 10 July 2011

Dil ne jab bhi fareb khaaya hai


Dil ne jab bhi fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai
Yeh bhi khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein joh khoya paaya hai
Tum numaaish liye ho daagon kii
Humne zakhmon ko bhi chuppaayaa hai
Koi marta nahin kisi ke liye
Humne duniya ko aazmaayaa hai
Waqt-E-Hizraan ya vasl ho Ashique
Humne dono mein tujhko paaya hai

koi fryaad tere dil me dbi ho jaise


koi fryaad tere dil me dbi ho jaise ....
tu ne ankhon se koi baat kahi ho jaise...
jaagte jaagte ik umer kutti ho jaise....
jaan baqi hai mugr sans ruki ho jaise...
hr mulaqat pe mehsoos yahi hota hai.....
mujh se kuch teri nazer pouch rahi ho jaise....
raah chulte hue aksr ye guman hota hai ....
wo nazer chup k mujhy dekh rahi ho jaise....
ik lumhey me simt aya hai sadiyon ka safar....
zindgi bohat tez chali ho jaise....
is tarah pehron tujhy sochta rehta hon ....
meri hr sans tere naam likhi ho jasie.....

In lehron pe chalna sikhaya hai tumne


In lehron pe chalna sikhaya hai tumne
Pyaar mein apno pe jalna sikhaya hai tumne
Hum toh daaman bacha lete magar
Duniya walo ke saamne mujhe
Ruswa karaya hai tumne
Pyaar karna nahi aata tha mujhe
Pyaar kerna sikhaya hai tumne
Bhool na paaunga saari zindagi ab jise
Aisa gum tohfe mein diya hai tumne
Bada mashhoor tha hansne hasaane ko
Hothon se tabassum churaya hai tumne
Tujh ko kaise DUA doon ke khush tu rahe
Meri duaon ko baddua banaya hai tumne
Main toh roshan bhi na ho saka tha abhi
Chadhte suraj ko kaise dubaya hai tumne

dil ki hasraton ko humne dil mein daba ke rakha


dil ki hasraton ko humne dil mein daba ke rakha
jo mile gair bankar humse unhe bhi apna ke rakha
shayad likhi thi kismat mein apni bewafai
jo diye zakhm us bewafa ne humne seene se laga ke rakha
humari mohabbat ke chaman ko unhone sanwara nahi
unke diye hue sookhe gulab ko humne saja ke rakha

Thursday, 7 July 2011

Is Kader Na Har Baat Yaron Sy Pucho

Is Kadar Na Har Baat Yaron Se Pucho,
Jo Baat Raaz Ki Ho Woh Isharo Se Pucho…
Lehro Se Khelna To Samandar Ka Shouk Hai,
Lagta Hai Chot Kaise Yeh Kinaro Se Pucho… !!
`
Pyar Agar Maine Tumse Kiya,
To Firz Hai Tumhara Tum Bhi Nibhogi,
Pyar Me Agar Dhokaaa De Sakti Ho,
To Zahar Bhi Tum Hi Pilaogiiiii………….!!
`
Pucho Na Us Kagaj Se,Jis Pe Hum Dil Ke Bayan Likhte Hai.
Tanhayino Me Beeti Baate Tamam Likhte Hai,
Wo Kalam Bhi Dewani Ho Gayi, Jis Se Hum Aap Ka Naam Likhte Hai !!
`
Intezaar Rehta Har Shaam Tera,
Rate Katati Hain Le-Le Kar Naam Tera
Muddat Se Baithe Hain Yeh Aas Paale,
Ki Aaj Aayega Koi Paigaam Tera !!

tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye tha


tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye tha
abhi kuchh aur mera dil dukhana chahiye tha
taveel raat ke pehloo mein kab se soye hai
naveed-e-subah tujhe jag jaana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hai jo jale hi nahi
savaad-e-waqt inhe jagmagaana chahiye tha
ajab na tha ke qafas saath le ke udd jaate
tadapna chahiye tha phadphadana chahiye tha
yeh meri haar ke karya-e-jaan se haara magar
bichhadne wale tujhe yaad aana chahiye tha
tamaam umr ki aasudgi-e-visal ke baad
aakhri dhoka tha khana chahiye tha

dard badh kar bayaan na ho jaye


dard badh kar bayaan na ho jaye
yeh zameen aasmaan na ho jaye
dil mein dooba hua jo nashtar hai
mere dil ki zuban na ho jaye
dil ko lene dijiye jo lena hai
phir yeh sauda giraan na ho jaye
aah kijiye magar lateed tareen
lab tak aa kar duwa na ho jaye

Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo’n mai


Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo’n mai,
phir kabhi na simtunga you’n bikhar gaya hoo’n mai…

Maut bas nahee’n aati rooh k nikalne se,
sans mujh mai baqi hai phir bhi marr gaya hoo’n mai…

kohraa sa dhuan sa lagtaa hai


kohraa sa dhuan sa lagtaa hai
be-asar, be-mazaa sa lagtaa hai
dost gar ho be-muravvat to
lafz-e-dosti sazaa sa lagta hai

daagh-e-dil hum ko yaad ane lage


daagh-e-dil hum ko yaad ane lage...
log apne deye jalane lage....
kuch na paa kr b mutmaien hain hum....
ishq me hath keya khazane lage...
ik pl me wahan se hum uthy.....
baithne me jahan zamane lage....

Tere Naam ki thi jo Roshni use khud tu ne bujha diya


Tere Naam ki thi jo Roshni use khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop, use chandni ne jala diya
Main hun gardisho ka maara huwa, mujhe ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo mainganwaa diya
Jissko samjha tha tuney raqeeb, woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha, tuney haath sey hi mita diya
Mujhe ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha, ise aandhiyo ne mita diya
Yeh udasiyo ka jamal hai ke umara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bharko suna diya
Mere umar ka gulistan abhi khula huwa hai zaroor par
Woh jo phool the teri chah ke unko mosamon ne gira diya

Raaz-e-ulfat Chupa Kar Dekh Liya


Raaz-e-ulfat Chupa Kar Dekh Liya
Dil Ko Bohat Jala Kar Dekh Liya
Aur Kya Dekh Ne Ko Baqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Kar Bhi Mere Na Huye
Unn Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Aaj Unn Ki Nazar Mein Hum Ne
Sab Ki Nazar Bacha Kar Dekh Liya

Dard-e-Dil, Dil Todne Wale Kya Jaane


Dard-e-Dil, Dil Todne Wale Kya Jaane
Mohabbat Ki Riwaze Yeh Duniya Wale Kya Jaane
Hoti Hai Kitni Takliff Kabr Mein
Yeh Upar Se Phool Rakhne Wale Kya Jaane

Sukoon mil gaya Aaj mujhe badnaam ho kar


Sukoon mil gaya Aaj mujhe badnaam ho kar
Tere har ek ilzaam pay yun bezabaan ho kar
Kya hua gar bulaya mujhe bey izzat karne ke liye
Khush hu main teri mehfil mein mehmaan ho kar
Log parh hi lenge mohabbat teri aankhon mein
Chahe karle lakh inkaar tu anjaan ho kar
Ilzaam muj par lagakar khud roye ja rahi hai
Kya payega mera hamdard shar-e-aam ho kar
Mil to gaya suboot mujhe teri Mohabbat ka
Ab afsos nahi tere ishq mein nakaam ho Kar

Jaan kar bhi wo mujhe jaan na paye


Jaan kar bhi wo mujhe jaan na paye,
aaj tak wo mujhe pehchaan na paye,
khud he kr li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye….

Yaadai'n jaag jati hyn


Yaadai'n jaag jati hyn
Barisho'n k mausam main

Har ghari satati hyn
Barisho'n k mausam main

Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat'ti

Subhai'n bhi satati hyn
Barisho'n k mausam main

Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey

Aankhai'n bheeg jati hyn
Baarisho'n k mausam main

Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha


Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.
`
Bewafai UsKi Mita Kar Aaya Hun,,
Khat Us K Paani Main Baha Kar Aaya Hun,,
Koi Parh Na Lay Us Bewafa k wadaun Ko,
Is Liye Pani Mein Bhi Aag Laga Kar Aaya Hun.
`
Kitni Saji Hai Bewafai Teray Masoom Chehray Par.
Hum Bhi Pagal Thay k Is Adaa Pay Mar Gaye…
`
Mera Taajub Ajab Nahi Hai.
Wo Shakhs Pehle Sa Ab Nahi Hai.
Wafa Ka Kya Gila Karon Main Us Se ‘Ghalib’
Wo Mera Tha Kab Jo Ab Nahi Hai

Juda wo Hue pr Hum Nahin


Juda wo Hue pr Hum Nahin,
Khafa wo hue pr Hum Nahin,
Ek Hum He the Jo unse Pyar Karte Rahe,
Bewafa Woh The Par Hum Nahin.
`
Dil K Qareeb Aa K Jab Wo Door Ho Gaye,
Sary Haseen Khawb Mery Choor Ho Gaye.
Humne Wafa Nibhai To Badnamiyan Mili,
Jo Log Bewafa Thy Wo Mashhor Ho Gaye.
`
Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha.

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai


Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah
Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm
Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai.

Apne khwabo ki tabir ki khatir
Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
Yad kar wo din ek isara par maine
Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
Mujhe beijjat aur badnam kar dala
Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
Par tune khun ke aansu rula dala
Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
Par tune mujh se bewafai kar dala

Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya


Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya…………..

Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume is dunia se,
jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila hume is dunia se,
saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me hum,
unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha is dunia se………..

JO KRTA HAI TUMSE PYAAR


JO KRTA HAI TUMSE PYAAR
VOHI DETA HAI TAKLIF HAZAAR
USKE DIL ME HOTA HAI
TUMHARI HAR BAAT KE LIYE IKRAAR
KARO TUM CHAHE US SE KITNA BHI INKAAR
LAGEGAA VO TUMHE PYAARA HAR BAAR
ROOTH JAOGE TOH MANAYEGA VO
HAR BAAT PAR TUMSE KAREGA TAKRAAR
PAR EK BAAR US SE KEH KAR DEKHNA
ZINDAGI BHAR KAREGA TUMHARA INTEZAAR
TUMHARE HAR DUKH KO APNAKAR
DEGA TUMHE KHUSHIYAAN HAZAAR
KAREGA TUMHARI HIFAZAT KUCHH VAISE HI
JAISE PHULON KI HIFAJAT KAANTE KARTE HAI HAR BAAR

wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap


wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
woh mere dil ki deewarein hila gaya chup chap
gam-e-hayat ke tapte hue biyabaan mein
woh tanha chhod ke mujhko chala gaya chup chap
main jisko chhuti hoon woh zakhm dete hai
woh phool aise chaman mein khila gaya chup chap

Mahobatt Ke Naam Pe Dil Par Gehri Chot Khayi Hai


Mahobatt Ke Naam Pe Dil Par Gehri Chot Khayi Hai
Marham Ke Intezaar Mein Ghav Pe Runjh Bhi Bhar Aayi Hai
Kasme-Wadon Ka Koi Mol Nahi Iss Jahan Mein Aaj Samaj Mein Aaya
Jinse Ummeed Ki Thi Wafa Ki Unse Hi Aaj Humne Be-Wafai Paayi Hai
Kar To Main Bhi Sakta Hun Apna Ghum-E-Bayaan Unse
Par Main Wadon Ka Pakka, Sada Chehre Pe Muskurahat Hi Aayi Hai
Bhulane Ab Unko Main Bhi Chala Hun Mehkhane Ki Taraf
Peeta To Nahi Main Par Fir Bhi Aankhein Shabab Se Bhar Aayi Hai
Be-Rukhsat Unki Chaahat Se Kuchh Iss Kadar Ho Gaya Hun Main
Jaise Mere Sharir Se Juda Hokar Bahar Meri Rooh Nikal Aayi Hai
Socha Tha Ek Tu Hi To Mera Sahara Thi Jeene Ka
Aur Tune Hi Aaj Humari Mohabat Ki Chita Jalayi hai

Kyon Yaaaaaad Aati Ho Itna


Kyon Yaaaaaad Aati Ho Itna,
Ke Jeena Dushwar Ho Geya,
Yaaaad Karte Karte Tumko,
Humko Tum Se Pyar Ho Geya !!
`
Khushbu Ki Tarah Aapke Pass Bikhr Jaynge,
Sukun Bankar Dil Main Utar Jayege,
Mehsus Karne Ki Koshish To Karo,
Dur Hote Hue Bhi Paas Nazar Aayege !!
`
Tute Khwabo Ko Sajana Aata Hai,
Ruthe Dil Ko Manana Aata Hai,
Aap Humare Gam Ko Dekhkar Pareshan Na Hona,
Hame To Dard Me Bhi Muskurana Aata Hai !!
`
Ho Sakta Hai Ki Hum Saath Reh Na Paye,
Ek Dusre Se Hum Kuch Keh Na Paye,
Itni Nazdikiya Mat Badao Ki Hum Dooriya Seh Na Paye !!
`
Is Sham Ki Tanhai Se,Is Dard Ki Gahrai Se
Ye Dil Kuch Baat Kar Raha Hai.
Zara Samjho In Fizaon Ki Chubhan Ko,
Aaj Fir Tumhe Koi Yaad Kar Raha Hai !!

Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay


Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay

Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay

Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay

Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay

Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay…

Humare Muskurane ki Wajah Tum Ho


Humare Muskurane ki Wajah Tum Ho,
Hamare Zindagi ka Matlab Tum Ho,
Agar Chor Diya Saath Hamara To Samajh Lena
K Hamari Maut ki Waja Bhi Tum Ho.
`
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se.
`
Sab Kuch Hai Mere Pas Per Dil ki Dawa Nahi
Door wo Mujhse hai Per Main Khafa Nahi.
Maloom hai Ab bhi Pyar Karta hai Mujhe.
Wo Thora Ziddi Hai Magar Bewafa Nahi.
`
Rehte Hain Hum Door to Kya Hua,
Hum Juda to Nahi,
Baat Nahi ker Sakte to Kya Hua,
Hum Khafa to Nahi,
Na Nilna Hamari Majboori Hai,
Per Hum Bewafa to Nahi…

youn to koi tanha nahi hota


youn to koi tanha nahi hota
chaah kar bhi koi juda nahi hota
mohabbat ko to majbooriyan hi le doobti hai
warna khushi se koi bewafa nahi hota

Mat Zikar Kijye Meri Adaa K Baaray Mai

Mat Zikar Kijye Meri Adaa K Baaray Mai,
Main Buhat Kuch Janta Hoon Wafa K Baaray Mai,
Suna Hai Woh Bhi Mohabbat Ka Shoq Rakhte Hain,
Jo Jante Hi Nahi Wafa K Baaray Mai.
`
Hamain Na Muhabbat Mili Na Pyar Mila
Hum ko Jo Bhi Mila Bewafa Yaar Mila
Apni to Ban Gai Tamasha Zindagi.
Har koi Apny Maqsad ka Talabgar Mila.
`
Tere Chokhat Say Sar Uthaon Tu Bewafa Kehna
Tere Siwa Kisi Or Ko Chahon Tu Bewafa Kehna
Meri Wafaon Pe Shak Hai To Khanjar Utha Lena
Shoq Say Mar Na Jaon Tu Bewafa Kehna!!
`
Bewafa To Woh Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Hothon Par,
Ab Woh Naam Kisi Aur ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai

Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Hue

Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Hue
Mehsoos hua Tab, Jab Wo Juda Hue
Kar K Wafa Kuch De Na Sake Wo
Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue…
`
Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.
`
Us k Chehry Per is Qadar Noor Tha
K Us ki Yaad Mein Rona bhi Manzoor Tha
Bewafa B Nahi keh Sakty us ko Faraz
Pyar to ham ne Kia Hai Woh to Bekasoor Tha.
`
Sitam Ko Humne Berukhi Samjha,
Pyaar Ko Humne Bandagi Samjha,
Tum Chaahe Hume Jo Bhi Samjho,
Humne To Tumhe Apni Zindagi Samjha

KOI TO HOTA


KOI TO HOTA....
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA.....

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA....

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA........

Koi Bijli Giri Kya Aasman Sy


Koi Bijli Giri Kya Aasman Sy?
Dhuwan Sa Uth Raha Hai Aashiyan Se
Mujhe Karte Ho Kyon Majboor Itna
Nikal Jaye Na Kuch Meri Zubaan Se
Kabhi To Ye Zameen-E-Dil Bhi Mehke
Kabhi To Abr Barse Aasman Se
Fareb Usne Diye Mujhko Hamesha
Magar Nikla Nahi Dilke Makaan Se
Kabhi Jharte The Muh Se Phool Par Ab
Tapakta Zeher Hai Unki Zubaan Se
Kare Jo Mundamil Zakhmon Ko Mere
Maseeha Main Wo Ab Laun Kahan Se
Badal Jaate Hai Rishte WaQt Ke Sath
Kahan Tak Aa Gaye Hum-Tum Kahan Se

Bewafa se Wafaa


Bewafa se Wafaa
Uske khathonko phaad diya
Thasweeronko bhi jala diya
Jobhi nishaaniyaan hai unko khatham kardiya
Lekinnnnnnn…..
Hamari har saans me, meri har nas me jo samaa gaya
Hamare khayaalon me jo chaagaya
Hamein jo apna diwaana banaagaya
Saare dunian se bekhabar banaagaya
Kehtha tha hum uski zindagi hain, merehi zindagiko mujhse cheengaya
Kaisa a sitham kargaya
Jeethe ji mujhe maargaya
Aye sanam, yeh thoone kya kardiya?! kyaaaaa kardiya

Woh kehte hai mujhe bewafa ho tum


Woh kehte hai mujhe bewafa ho tum
mujhe mili zindagi main woh saja ho tum
halat se majboor aur waqt se bebas teh hum
is liye aaj khusiyon se kusu dur hai hum…

EK PAL WO APNA SA LAGA AUR BEGANA KAR CHALA


EK PAL WO APNA SA LAGA AUR BEGANA KAR CHALA
NA JANE KYUN JATE JATE MUJHE DIWANA KAR CHALA
EK UMMID THI BAAKI US KE AANE KI
PAR WO TO BHARI MEHFIL KO MAIKHANA KAR CHALA
IS KADAR ZAKHAM DIYA HUMEY UMAR BHAR KE LIYE
KE HUM RUSWA BHI HUYE AUR PATA BHI NA CHALA
KOSHISHEN TAMAM KAR LI FIR SE MUSKURANE KI
PAR WAQT DIL KO USKI CHAHAT KA AASHIYANA KAR CHALA

meri wafa ke qabil nahin ho tum


meri wafa ke qabil nahin ho tum
pyar mile aise insaan nahin ho tum
dil kyon tum par aitabaar kare
pyar mein dhoka de aise bewafa ho tum

Naino me base hyn zara dhyan rakhna


Naino me base hai zara dhyan rakhna,
Apna rishta yuhi Aabad rakhna,
mujhe to Aadat hai yaad karne ki,
hichkiya ati rahe to maaf karna….
`
bhul sakte hai ek pal saans lena,
g sakte he Dil ki dhadkan k bina,
par ye gustakhi nahi kar sakte ki,
hum jiye aur zindagi kate apki yaado k bina…
`
Kya pata kyo aadat hai unki yaad aane ki,
in aankho ko unki jhalak pane ki,
humari to tamanna hai unko pane ki,
par shayad unko aadat hai hume tadpane ki…
`
Kabhi gamo se tumhari mulaqat na ho,
udas baithe ho aisi koi baat na ho,
shikayat ho to hume maaf kar dena,
aur fursat se baithe ho to hume yaad kar lena…
`
Yado se teri hum Pyar karte hai,,
100 janam bhi tujh par nisar karte hai,
fursat mile to likh bhejna ek sMs,
usi ka to hum din raat intezar karte hai…

Dil tu dhadkana band ker


Dil tu dhadkana band ker,
jab jab to dhadkata hai unki yaad aati hai,
Wo to khush hogi apni dunia me,
Jaan to pal pal hamari hi jati hai..
`
Chale gaye ho dur kuch pal ke liye,
dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye,
kaise yaad na aaye apki ek pal ke liye,
jab Dil me ho tum har pal ke liye..
`
Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana he,
Aap chahe humse baat karo ya na karo,
Aap ki yadon mein humara ana jana hai..
`
Tumhari yaadon ki mehek in hawaon me hai,
Pyar hi Pyar bikhra in fizao me hai,
aisa na ho ki duriya dard ban jaye,
ab to aapke msg ka intezaar nigahon me hai..
`
Koi khat nahi, koi khabar nahi,
apko shayad rishte ki kadar nahi,
hum to apko yaad karte hai har sans k sath,
shayad apko hamari sanson ki koi fikar nahi…

Rishton Ki Ye Dunya Hy Nirali


Rishton Ki Ye Dunya He Nirali
Sab Rishto Se Pyari He Dosti Tumhari
Manzor Hain Anso Bi Akhon Mai Hamari
Agar Ajae Muskan Hoton Mai Tumhari…
`
Mohabbat Ka Pata Bataya Nahi Jata
Kisi Dost Ko Kabhi Bhulaya Nahi Jata
Apko Rakha Hai “Dil” Main Us Jaga Par
Jaha Har Kisi Ko Sajaya Nahi Jata…
`
Tumhari Pasand Hamari Chahat Banjae
Tumhari Muskrahat Dil Ki Rahat Banjae
Khuda Khushyon Se Itna Khush Kr De Apko
K Apko Khush Dekhna Hamari Adat Banjae…
`
Maante Hain Sara Jahan Tere Saath Ho Ga
Khushi Ka Har Lamah Tere Paas Ho Ga
Jis Din Toot Jain Gi Saansein Humari
Us Din Humari Kami Ka Ehsaas Ho Ga…
`
Kbhi Kbhi Ye Sub Apna Khayal Lgta Hai
Wo Mera Hai Ya Nhi Uljha Sawal Lgta Hai
Main Wafa Kr K B Badnamiyoun Main Ho
Wo Bewafa Ha Mgar Bemisal Lgta Hai…

O Nahin aayenge patha hai phirbhi unka inthezaar karrahe hain


“O Nahin aayenge patha hai phirbhi unka inthezaar karrahe hain
Bewafaa hain jaankr bhi wafaa karrahe hain
Aisi dillagi khudse karrahe hain k
Zanaaze pe lete hain phir bhi Allah se unke salaamathi ki dua karrahe hain!!!”

Mere dil ko todakar tum jaaoge jahaan


Mere dil ko todakar tum jaaoge jaha,
Meri baate yaad tumako aayegi wahaa,
Main to apna samajhkar tumhe maaf kar dunga,
Magar maaf na karega tumako ye jahaan.
`
Woh chalte chalte itne door chale gaye,
Hamein rokna bhi na aaya.
Hamne unka naam liya phir bhi,
Shayad unhein sunna na aaya.
`
Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Ha
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaysi Ha
Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Ha.
`
Tum dur ho¦ aur pas bhi,!
Tum hansi ho¦ aur aansu bhi!
Tum Mere man ki shanti ho.. aur dil ki bechaini bhi!
Tum meri amanat ho.. aur ek sapna bhi!

Chaha to bahot tha lakin woh mila nahin

Chaha to bahot tha lekin woh mila naahin
Lakh koshisho ke bawjood humare beech ka fasla meeta naahin
Is kadar majboor kar diya zamane ne hume
Ki woh meri kisi sada pe tehra hi naahin
`
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se
`
Apne khwaabon khyaalon me tujhe paaya hamane,
Tere pyaar me khud ko mitaya hamane,
Suna hai andhero se bahut ghabraate ho tum,
Roshani ke liye apne dil ko jalaya hamne.
`
Anjane may hum apna dil ganwa baithay
is pyar may kaysa dhoka kr baithay
unsay kya gila kre bhul hamari he hy
jo bin dilwaloo say dil lga baithay

Wednesday, 6 July 2011

Irony Sometimes When You Give

-=- I r o n y -=- Sometimes When You Give Importance To People They Think That You Are Always Free... But They Don't Understand That You Make Yourself Available For Them Every Time. . . =/

Unbeaten Thought Ever


Unbeaten Thought Ever

"Take Whatever You
Can From Your Life. . .

Bcoz

When Life Starts Taking From
You
Its Takes Even Your
LAST BREATH . . . ! ! !

Harsh Reality


-=- Harsh Reality -=-

Never Assume That
Someone Likes You
By Their Sweetness ...
Sometimes You Are Just
An 0ption
When They Are Bore ... =/

All Relationships Have


All Relationships Have
One Law

" Never Make The 0ne You
Love Feel Alone ...
Especially
When You're There ..." =) *.*

TodayX Th0ught


_=_ TodayX Th0ught _=_

"L i v e
Y o u r
L i f e
A n d
N o t h i n g
E l s e
M a t t e r s ..." ! (",)

If People Criticize U


If People
Criticize U,
Hurt U,
Or Shout At U,
Don't Be Bothered
Just Remember
"In Every Game
Audience Make The Noise,
Not The Players.

Tip For A Lifetime

Tip For A Lifetime Never Settle For A Drive-Through Relationship When You Are Worthy 0f A 4-Star Restaurant. . . =)

Maxim For Life


..::.. Maxim For Life ..::..

"You Get Treated
In Life,
The Way You Teach
People To Treat
You . . . "

Short But Sensible Lines


~ Short But Sensible
Lines ~

"P00R" Is The Man
Whose Pleasure Depend
0n The Permission 0f
Another ... !

TodaYz Th0ughT


_=_ TodaYz Th0ughT _=_

"H A T E R S
Will Broadcast Your
F A I L U R E S
But
Whisper Your
S U C C E S S..." =)

mohobbat ne hame rula diya


mohobbat ne hame rula diya
jis par marte the usne bhula diya
ham bhi peete gaye use bhulane ke liye
aur ek din us bewafa ne usme bhi zeher mila diya

Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi


Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
Safar main marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahi
Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye
kia khayal the ab to asar mein wo bhi nahi
Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
Main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi
The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang
Wo ek nishaat-e-sahar the sahar mein wo bhi nahi
Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahi

Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein


Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Bankar Chali Thi Tere Aangan Mein
Chor Aaye Thi Sare Khushiyan Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Ek Anmol Rishta Tha Tumse Bikher Diya Tumne Bewafa Iss Duniya Mein
Aur Kya Mange Hum Khuda Se Dard Ke Bhwar Mein Dubo Diya Tumne
Kuch Farq Nahi Hai Humhe Jab Tumne Bikar Di Meri Jeevan Ki Khushayan
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Banker Chali Thi Tere Aangan Mein
Saaton Vachan Tak Saath Na Diya Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Dekhkar Chup Zuban Na Kahi Aankhon Ki Ehsaas Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Main
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein

Besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai


Besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai
Hum khafa kab thay manane ki zaroorat kya hai
Aap ke dam se to duniya ka bharam hai qayam
Aap jab hain to thikaane ki zaroorat kya hai
Teri khushi, tera dar, tera gussa kaafi hai
Bethikaano ko thikaane ki zaroorat kya hai
Dil se milne ki tamanna he nahi jab
Dil mein haathon se haath milaane ki zaroorat kya hai
Rang aankhon ke liye buu hai demagon ke liye
phool ko haath lagaane ki zaroorat kya hai

mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte


mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte
kyonki woh ab is dil mein raha nahi karte
humne ansuon se unko vidayee di hai
in ankho mein ab ashq raha nahi karte